Karb Chehare Se Maah-o-Saal

karb chehare se maah-o-saal kaa dhoyaa jaaye
aaj fursat se kahii.n baiTh ke royaa jaaye

phir kissi nazm kii taamiid uThaa_ii jaaye
phir kisii jism ko lafzon me.n samoyaa jaaye

kuchh to ho raat kii sarhad me.n utarane kii sazaa
garm suuraj ko samundar me.n Duboyaa jaaye

itanii jaldii to badalate nahii.n ho.nge chehare
gard_aaluud hai.n aa_iine ko dhoyaa jaaye

maut se Khauf_zadaa jiine se bezaar hai.n log
is almiyaa pe ha.Nsaa jaaye ki royaajaaye

About The Author

An Urdu Ghazal By Shahid KabirGhazalGhazalsKabirRomanSalam UrduShahid Kabir